Hai liye hathiyaar dushman taak mein baitha udhar Aur hum taiyar hai seena liye apna idhar Khoon se khelenge holi gar watan mushkil mein hai Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai... Haath jinme ho junoon kat te nahi talwaar se Sar jo ut jaate hai woh jhukte nahi lalkaar se Haath jinme ho junoon kat te nahi talwaar se Sar jo ut jaate hai woh jhukte nahi lalkaar se Aur bhadkega jo sholaa saa hamaare dil mein hai Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai... Hum to ghar se nikle hi the baandh ke sar pe kafan Jaan hatheli par liye ab bad chale hai yeh kadam Zindagi to apni mehmaan maut ki mehfil mein hai Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai... Dil mein toofanon ki toli aur nason mein inquilab Hosh dushman ke udaa denge hame roko na aaj Door reh paaye jo humse dum kahaan manzil mein hai Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai... Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai...